Jo humein chehre padna sikha gaya
Nahin to sabak aur bhi hain bahut gale lagaane ko
Wafaaon ka daur ab yuh khatam hua ki…
Bewafaai ki chadar bhi ab mannaton se milti hain gale lagaane ko
Na puchh kya khoya aur kya paya
Jo paya… woh kaafi hain ab sambhalne ko
Jo khoya… meri khamoshi hain use bayaan karne ko
Asar tha kuchh us ishq mein
Jo humein chehre padna sikha gaya
Yuh na kar tera chehra lal mere shabdo se
Ab mere ishq ki gali per tera pata nahin
Dastak bahut hain… per ab bewajah nahin
Woh daur tha... ishq mashgul tha shayariyon mein
Aaj woh daur hain… jo yeh reh gaya hain kisse kahaniyon mein
Asar tha kuchh us ishq mein
Jo humein chehre padna sikha gaya

No comments:
Post a Comment