Friday, April 1, 2016

Agar Yaadon ko Shabdo se Bayaan karu...

Teri yaad mari naa Main maraa 
Yuh hi har janm mein ishq ban kar tadapta rahega
Kasur naa tera… aur naa hi mera
Badnaam woh pal hain... jo har janm mein tujhe hi dhundta rahega
Teri yaad mari naa Main maraa
Yuh hi har janm mein ishq ban kar tadapta rahega
Naa Umeed kam hui… aur naa hi bharosa
Girna aur gir kar uthhna hi sirf Ishq karne ka matlab samjhayega
Jaise har raasta tere ghar ko nahin bana
Waise har aahat tere hone ka wazood nahin…
Waham hain… per ishq se kam bhi nahin… yuh aaj bhi hain bepanaah
Teri yaad mari naa Main maraa
Yuh hi har janm mein ishq ban kar tadapta rahega
Teri baaton ka bada … aur un raaton ka chhota hona
Saboot tha mera waqt teri raaton ka sitara tha
Yuh to har hasi un bitaaye palo per marham nahin
Aur har hasi mein tujhe paana mumkin nahin
Teri yaad mari naa Main maraa
Yuh hi har janm mein ishq ban kar tadapta rahega
Ab aankhein nam karna… haan nam karna aankhen
Ek aur kissa hain mera tujh per fanaah hone ka
To naa waham rakh… aur bhi wajah hain inke dhul jaane ki
Haan… zarurat hain ab inhe nayi ho kar bepata hone ki
Teri yaad mari naa Main maraa
Yuh hi har janm mein ishq ban kar tadapta rahega

No comments: