Thursday, October 29, 2015

Shabdo ko jab jubaa Mili...


Tere diye dard ki ab dawaayein bahut hain is kamzarf jahan mein.
Tere diye sawaal ki ab bahut kitaabein hain is muflis jahan hain.
Galat to hum hi the.. jo tere ishq ko junoon banaa baithey.
Raatein aur baatein… jo tere saath baati kaafi hain humein badnaam karne mein.
Tere diye dard ki ab dawaayein bahut hain is kamzarf jahan mein.
Tere diye sawaal ki ab bahut kitaabein hain is muflis jahan hain.
Yun to naye the hum is sauda-e-bewafaai mein.
Ab jo sikha wahi dete hain.. is bematlab ke vyapaar mein.
Fakir the fakiri chhut ti nahin aaj bhi.
Ishq kiya.. isliye rusvaayi nahin karta tere naam ki.
Wajah chhodi nahin tune ki teri Ishqiyaan hi likh doon.
Ab kalam uthhaau bhi to Aashiqui nahin.. use bemurammat kissa likh deta hoon.
Tere diye dard ki ab dawaayein bahut hain is kamzarf jahan mein.
Tere diye sawaal ki ab bahut kitaabein hain is muflis jahan hain.