Naa kar mere Ruksat hone ka intezaar
Tere shabd… shabd kaafi hain mujhe Be-jaan banane ko
Naa kar mere Fanaah hone ka intezaar
Tere chhodne ki wajah bahut hain mujhe zinda lash karne ko
Kyu jeena jeena zaruri hain? ek paheli si ban kar reh gaya
hain…
Beasar, bematlab Bepanaah hoon.. tere bina
Naa kar mere Ruksat hone ka intezaar
Tere shabd… shabd kaafi hain mujhe Be-jaan banane ko
Kami rakhta hoon.. dhundta hoon tujhe kitaabo mein
Sab kehete mehfooz hota hain ishq kitaabo mein Gulaab ban
kar
So Kalam uttha li maine is bahane tujhe kitaabo mein dekhne
ko
Mere aansu na dekh yeh bhi dhokha dete hain teri tarah
Mere.. mere nahin hain.. tere naam se paani ban kar behete
hain
Phir inhe dekhna tujhe paane ke barabar hain
Naa kar mere Ruksat hone ka intezaar
Tere shabd… shabd kaafi hain mujhe Be-jaan banane ko
Yeh pagalpan nahin.. jeene ki wajah hain meri
Naa kar mere Ruksat hone ka intezaar
Tere shabd… shabd kaafi hain mujhe Be-jaan banane ko