Sun.. Sun to zaraa
Tere banaaye shabdo se Ru-b-Ru ho to zaraa
Mujhe tujhse kuchch aisa mila…
Jeene ka matlab to mila.. per bekinaara mila
Rishto mein aisa dhhala.. ki fasta hi raha
Mujhe jaan kar tune tere aansuo ka sahara liya
Per main bhi unhe apni hi galati samjhta gaya

Khud ke chehre ko tera naam de kar.. usko muskarahta raha
Bewajah, Bematlab is duniya ki bheed mein hasta raha
Kisi ke shabdo mein Aashiq Banaa.. To kisi ke shabdo mein Beparwah
Tere liye aise jiya.. khud ke liye sona hi bhul gaya

Auro ke liye jiya.. aur jeeta hi raha
Per tera naam sabse pehle liya.. phir bhi tujhse milne ki qataar mein sabse picche hi raha
Pata tha is kamzarf dil ko… ki fakiro ko panaah andhero mein hi milti hain
Phir kyu main tere chehre ko Diya samajhta raha

Ab jeeta hoon auro ke liye.. jiski jo niyat hain woh le jata hain uski zarurat samjhkar
Tere ishq mein bematlab yeh Sharir tha mera… ab khush hoon ise har kisi per fanaah kar
Ab yeh teri niyat hain.. ki tu Dil nikalegi ya mere haath
Yu to ab bhi wafaa ki umeed rakhta hu main tujhse
Dil maanga to koi galati nhi thi tujhe yaad karne mein
Mere Haatho se to tune teri zarurto ko hi pura kiya hain