Wednesday, April 22, 2015

Rishtein Rishto Ke Nahin... Shabdo Ke Panaahgir Rahe Gaye



Naam kaafi tha mera tere lafzo per mehakno ko
Shaam kaafi thi tujhe yaad kar rone ko
Phir kyu tera saath chhodna zaruri tha mujhe benaam karne ko
Haan wajah yeh bhi ho sakti hain ki.. hum naye the is Jung-e-muhabbat mein
Jo bhi tha… Achcha tha. Per saccha tha
Yuh mera pyaar mere aansuon ki kahani nahin.. meri khamoshi kaafi hain sab bayaan karne ko
Badnaami bad hain… bad se badtar hain
Pyaar kinara hain per besahara hain
Chale to kissa hain.. do mehekte phulo ka beshumaar hissa hain
Shururat Acchhi.. Per kahan tak sacchi
Wafaa tumaari… wafaa humaari
Phir bhi khalish reh jaati hain badnaam karne ko

Saturday, April 18, 2015

Kuchh Panne Jindagi Ke… Bina Kalam Se Mile Gum Ho Gaye

Ab waqt ho chala hain dosto kisi ki baaton mein hone ka
Ab waqt ho chala hain dosto sabhi ki yaadon mein hone ka
Bhar gaya hain man in dhundhlo se rishto mein hone ka
Kamzarf tha woh samay jo meri aankhon mein khoon de gaya
Tujhe samajh kar bhi kisi aur ke hottho ki hasi
Teri juththi hasi ko wafa samajhta gaya
Kismat per afsos nahi… dhokha dena meri fitrat nahi
Ab waqt ho chala hain dosto kisi ki baaton mein hone ka
Ab waqt ho chala hain dosto sabhi ki yaadon mein hone ka
Nafrat nahi mujhe usse.. jisne mujhe andhero ko bhi ujala bataaya
Yuh to mere aansu girne se pehle sukhh hi jaate hain
Gir bhi jaaye to Lal ho jaate hain
Ab waqt ho chala hain dosto kisi ki baaton mein hone ka
Ab waqt ho chala hain dosto sabhi ki yaadon mein hone ka